Achha video bhi tab tak nahi chalta jab tak log uspar click na karein — aur click thumbnail se aata hai. Ab Video Planner ke SEO step me ek naya hissa hai: 🖼️ Thumbnail prompt.
4 sawal, bas
- Size: 16:9 YouTube video (1280×720), 9:16 Shorts cover, 1:1 ya 4:5.
- Thumbnail par kaun? Meri photo, AI model ya bina chehre ke (product / scene).
- Text? Haan (kis bhasha me) ya nahi.
- Style: Bold & bright, Clean, Dramatic, 3D cartoon ya Real photo.


Kya milta hai
Ek line ka idea ki log click kyon karenge, 3 chhote thumbnail text (2–4 bade shabd), aur 3 alag thumbnail ideas — har ek ke saath “Copy for ChatGPT” aur “Copy for Gemini”. Saath me SEO-friendly file name, jaise chai-mistakes-thumbnail.jpg.


Click badhane wale niyam (prompt me pehle se)
- Ek saaf focal point jo chhote phone par bhi samajh aaye
- Tez contrast, 2–3 rang, chehra ya cheez frame ka 40–60%
- 16:9 me text neeche-daayein kone me kabhi nahi — wahan YouTube video ki lambai dikhata hai
- Koi logo, brand ya copyright character nahi — aur thumbnail video ke baare me imaandaar
Kaise use karein
ChatGPT ya Gemini kholiye → (apni photo wale prompt me photo lagaiye) → prompt paste karke bhejiye → image download kijiye → file ka naam SEO wala rakhiye → YouTube Studio → Thumbnail → Upload.
FAQ — aksar pooche jaane wale sawal
Kya apni photo se thumbnail ban sakta hai?
Haan — “My photo” chuniye; prompt me likha hota hai ki chehra bilkul same rakhna hai. Photo ek baar upload kijiye, woh video aur thumbnail dono me kaam aati hai.
Text Hindi me chahiye?
Text ki bhasha chuniye — Hindi, Hinglish, English ya koi aur.
Kitne coin lagte hain?
Ek baar me 3 prompts ke liye 1 coin (admin badal sakta hai).