AI se video banana aasan lagta hai — jab tak prompt likhna na pade. Kya likhein, kitna lamba, character har scene me same kaise rahe, awaaz script se match kyon nahi karti? SEO for Tube ka AI Video Planner yeh saara kaam aapke liye karta hai.
Settings — sirf chunna hai, likhna nahi
Video ki lambai, frame size (9:16 Shorts, 16:9 YouTube, 1:1, 4:5), video me kaun dikhega (Auto, Female, Male ya bina chehre ke), aur chehra kiska (apni photo ya AI model) — sab buttons se chuna jata hai. Voiceover ki awaaz presenter ke hisaab se apne aap tay hoti hai, aur captions chahiye ya nahi, yeh bhi aap chunte hain.

Poora voiceover script — kabhi adhoora nahi
Pehle poora script banta hai — pehle shabd se closing line tak, ek pro voice-over artist jaisa. Phir server use poore vakyon me scenes me baant deta hai, taaki koi line beech me na toote. Har scene ek 8-second clip hota hai — kyunki Gemini (Veo) ek message me itna hi banata hai — aur har clip apni line poori bolti hai.

Har scene ka ready prompt
Har scene me chhota, saaf prompt (25–60 shabd) milta hai — Gemini (Veo) ko yahi pasand hai. Apni photo wale plan me prompt “Animate my photo: …” se shuru hota hai aur sirf hilna-dulna batata hai, taaki chehra aapka hi rahe. Bolne wali line quotes me hoti hai — “says exactly these words” — isliye Gemini shabd nahi badalta. Aakhir me ek chhoti “Audio:” line sound effects ke liye.

Ek bada button: Copy Gemini / Veo Prompt
8-second video ho to poora video ek prompt me copy hota hai. Lamba video ho to wahi button “Scene 1 of 3” ban jata hai — har tap par agla scene. Android par copy hote hi Gemini app apne aap khulta hai; bas message box me Paste kijiye aur apni photo lagaiye.


Kaam ki baatein
- “Who speaks the words?” — “Gemini speaks” chuniye to model khud bolti hai (lip-sync). Shabd 100% exact chahiye to “Silent video + my voiceover” chuniye aur script editor me lagaiye.
- Gemini ek message me ek clip banata hai — poora plan ek saath paste na karein; bada button khud scene-by-scene copy karta hai.
- Purane plans me lambi lines thi? Plan kholte hi woh apne aap 8-second clips me bant jaate hain — “Make again” ki zaroorat nahi.
FAQ — aksar pooche jaane wale sawal
Kya apni photo se AI video ban sakta hai?
Haan — “My own face” chuniye aur Gemini me har scene ke saath apni ek saaf photo lagaiye. Mashhoor logon ya bacchon ki photo Gemini nahi leta.
Video 8 second se lamba kaise banega?
Har scene ek 8-second clip hai. Bade button se scenes ek-ek karke copy kijiye, Gemini me banaiye aur CapCut/VN me jodiye.
Captions ka font kharab kyon aata tha?
AI video tools video ke andar likha text bigaad dete hain. Isliye prompt me “No text on screen” hota hai aur captions .srt file se editor me achhe font ke saath lagte hain.